Hum Deen-e-Muhammad (s.a.w) kay wafa dar sipahi
Allah kay Ansaar o Madadgar Sipahi
Islam ki Azmat kay Nigehdaar Sipahi
Batil ki Khudai ko Gawara Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Khushnoodi-e-Rabb Maqsad-e-Hasti hai Hamara
Qur’an hi Dastoor e Asaasi hai Hamara
Qae’d bhi Muhammad (S.A.W) Sa Misali hai Hamara
Abb hum kisi Rehbar ki Tamanna na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Paigham e Sukoon Rahat e Jaan Leke Uthay Hain
Ek Souz e Yaqeen Azm e Jawan Leke Uthay Hain
Hum Jazba e Tameer e Jahan Leke Uthay Hain
Sangeeni Halat Ki Parwa Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Iqraar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Inkaar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Kirdaar Hamara Hai Zamanay Ki Nazar Mein
Hum apni hi tasweer ko ruswa na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Insaf Se Phir Aadmi Mun Moud Chuka Hai
Sachai Ka Paiman e Wafa Tod Chuka Hai
Daman e Yaqeen Sabr o Raza Choud Chuka Hai
Hum Zinda Raho Rasm e Kaleema Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Zahnon Se Har Ek Naqsh-e-kudoorat ko Mita ker
Tafreeq kay Bhardkay Huve Sholoun ko Bujha kar
Dum Lengay Hum Insaan ko Insaan say Mila ker
Aabaad Phir Ujda Huva Kashana Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Siddiq Ka Dil Zor e Ali Baqsh De Ya Rab
Fayyazi e Usman e Ghani Baqsh de Ya Rab
Farooq Ki Aaali Nigahi Baqsh De Ya Rab
Aarasta Phir Mehfil e Jana Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Dushman Se Tere Hum Koi Paiman Na Karengay
Jeene Ke Liye Maut Ka Saman Na Karengay
Ruswai e Millat Pe Charaghan Na Karengay
Aisa Na Karenge Kabhi Aisa Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
Mar Jaingay Iman Ka Sauda Na Karengay
]]>Ye meri qaum ke hukmuran bhi suneeeeeeeeen
Ye meri qaum ke hukmuran bhi sunen
Meri ujdi huvi dastan bhi sunen
Meri ujdi huvi dastan bhi sunen
Jo mujhe mulk tak maante hiiiii nahinnnnnnnnnn
Jo mujhe mulk tak maante hi nahin
Sari duniya ke wo hukmuran bhi sunen
Sari duniya ke wo hukmuran bhi sunen
Sirf lashen hi lashen meri gouuud meinnnnnnnnn
Sirf lashen hi lashen meri goud mein
Koi poochhe mein kyun itna ghamgeen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Main palestine hun mai palestine hun
Aaye they eik din mere ghar aye they
Aaye they eik din mere ghar aye they
Dushmanon ko bhi tanha nazar aye they
Dushmanon ko bhi tanha nazar aye they
Oont per apna khadim bithayeeee huveeeeeeeeee
Oont per apna khadim bithaye huve
Meri is sarzameen per Umar (ra) Aaye they
Meri is sarzameen per Umar (ra) Aaye they
Jiski parwaz hai asmanonnnn talakkkkkkkkkkkk
Jiski parwaz hai asmanon talak
Zakhmi zakhmi mai wo ek shaheen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Main palestine hun mai palestine hun
Mere daman me iman palta raha
Mere daman me iman palta raha
Rait per rab ka farman palta raha
Rait per rab ka farman palta raha
Mere bachche lade aakhri saansssss takkkkkkk
Mere bachche lade aakhri saans tak
Aur seenon me quran palta raha
Aur seenon me quran palta raha
Zarre zarre me Allah hu akbarrrr liyeeeeeeee
Zarre zarre me Allah hu akbar liye
Khushnasibi hai mai sahib-e-deen hun
Main palestine hun mai palestine hun
Main palestine hun mai palestine hun
Na hi royenge aur na hi muskayenge
Na hi royenge aur na hi muskayenge
Sirf naghme shahadat ke hi gayenge
Sirf naghme shahadat ke hi gayenge
Apna bait-ul-muqaddas bachane koooo toooooo
Apna bait-ul-muqaddas bachane ko to
Mere bachche ababeel ban jayenge
Mere bachche ababeel ban jayenge
Jo sitam dha rahe abraha kiiii tarahaaaaaaaaa
Jo sitam dha rahe abraha ki tarah
Unki khatir mai saaman-e-touheen hoon
Mai palestine hun mai palestine hun
Mai palestine hun mai palestine hun
Khuda Naraz Kar Baithay – Ye Hum Sab Kyaa-Aaa Kar Baithay
Bahot Parwaaz Kar Baithay – Khuda Naraaz Kar Baithay
Bahot Masroof Rahtay Thay – Hawaoon Par Hukumat Thi
Takabur Thaaa Ke Taqat Thi – Bala Ki Baaadshahee Thi
Sabhi Masrooof Thay Aysay – Ke Ek Haasti Bhula Baithay
Bahot Parwaaz Kar Baithay – Khuda Naraaz Kar Baithay
Magan Thay Apni Duniya May – Sabhi Bay-Khauf Rehtay Thay
Teri Hasti Bhulaa Kay Hum – Sabhi Khaamosh Baithay Thay
Koi Bay Fikr Baytha Tha – Koi Masroof-E-Sazish Tha
Koi Taqton Pay Baitha Tha – Koi Daulat Ka Pyasa Tha
Koi Khabon May Rehta Tha – Koi Maazeee May Bhatka Tha
Koi Tadbeeeer Karta Tha – Koi Tasqeeer Karta Tha
Ke Zulmat Raaj Karti Thi – Khuda Khamooosh Baitha Tha
Koi Aansoo Na Chalka Tha – Kisi Ka Dill Na-Tadpaa Tha
Phir Ek Aysee Waba Phailee – Fizoon Aur Hawaooon May
Sabhi Kuch Tham Gaya Malik – Teri Khalqay Khudaee May
Ab Usnay Moo Jo Phera Hai – Faqat Wahshat Ka Dera Hai
Ke Duniya Ki Har Ek Basti – Bhayanak Maut Chehra Hai
Khuda Moo Pher Baitha Hai – Abb Uska Ghar Bhi Khali Hai
Khuda Naraaz Baitha Hai – Qahar Duniya Pey Taari Hai
Abhi Bhi Waaqt Hai Logon – Khuda Se Gid-Gida Ke Tum
Usay Razi Karo Logon – Khudi Apni Mitake Tum
Abhi Bhi Waaqt Hai Logon – Khuda Razi Karo Logon
Abhi Tauba Karo Logon – Nigahaeen Nam Karo Logon
Wo Jaldi Maan Jata Hai – Wo Ab bhi Tum Ko Chahta Hai
Wo Ab bhi Tum Ko Chahta Hai – Wo Ab bhi Tum Ko Chahta Hai
Sitam Humne Kiya Khud Par – Raham Tu Nay Hi Karna Hai
Ye Hum Iqraar Karte Hain – Ye Hum Fariyaad Kartay Hai
Humay Bhi Baaqsh De Yaa Rab – Tujhi Se Aaas Rakhte Hai
Hamay Maalooom Hai Ya Rab – Tu Abb Bhi Hum Ko Chahta Hai
Khuda Naraz Kar Baithay – Ye Hum Sab Kyaa-Aaa Kar Baithay
Bhot Parwaaz Kar Baithay – Khuda Naraaz Kar Baithay